Thursday, July 30, 2009


Manzil-e-ishq nazar na aaye to kya kare.....

Teri yaad dil ko sataye to kya kare.......

Yakeen hai hume,hota hai duao me asar......

Par jaye na khuda tak duayein to kya kare......

Kaunsa zakham tha jo tarr-o-taaza na tha

Zindagi mein itne gham thei ke andaaza na tha

Unki jheel si aankhon ka iss mein kya kasoor

Dhoobne vaalo ko gehraayi ka andaaza na tha

Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Puraani

Har Ek Se Larna Uski Aadat Thi Puraani

Hum Uske Saath Chal Diye Yeh Jaante Hue Bhi

Raste Mein chhor Dena Uski Aadat Thi Puraani

Vo raat ki khaamoshi mein karta hai mulaaqaat

Uss ko meri tanhaayi ka ehsaas bohat hai

Kuch iss liye bhi uss ne mujhe zakham diye hai

Vo jaanta hai ke dard hamein raas bohat hai

Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera,

Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera,

Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap,

Ek roz bazi yun saje sheesha tera pathar mera.

Wafa Ke Naam Se Vo Anjaan Thei

Kisi Ki Bewafaayi Se Shaayad Pareshaan Thei

Humne Wafa Deni Chaahi Toh Pata Chala

Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam Thei


Itna haq un par jataya kyun tha.....

Roothe the wo to fir manaya kyun tha....

Aaj toota hai dil to ehsaas hua.....

Unhi se is dil ko lagaya kyun tha.....

Bhar Kar Tasveer-E-Yaar Aankhon Mein

Hum Ne Intezaar Mein Aankhein Band Karli

Zara Der Se Jo Aayi Unke Badan Ki Khushbu

Toh Humne Khud Se Saanse Juda Karli

Phir Se Rog Lagaao Tum

Mujhse Rabt Barhaao Tum

Kaise Sab Kuch Bhoole Ho

Mujhko Bhi Samjhaao Tum

Jaise Baarish Saawan Ki

Ek Din Aise Aao Tum

Mein Ne Jee Bhar Rona Hai

Mujhko Khawaab Dikhaao Tum

Bohat Kuch Ho Chukka Ye Sab

AB Mere Ho Bhi Jaao Tum

Monday, July 6, 2009




andhere me meri raakh ka ujala wahi tha

meri kashti ko paar lagane wala khevaiya wahi tha

milke jiske saath banaye the mahobat ke aashiyane

chupke se nazre churane wala bhi wahi tha

tum bin zindagi aisi hai jaise

lahero ko samandar se

dhadkan ko dil se

aansuo ko aankho se

sitaro ko aasman se

hansi ko labo se juda kar diya ho

Thursday, July 2, 2009


Vo Ek Shakhs Jo Hamein Zindagi Se Pyaara Hai

Bagair Uss Ke Veeraan Yeh Jahan Saara Hai

Vo Nahin Jaanta Ke Uski Zaat Kya Hai

Vohi Toh Hai Jo Mohabbat Ka Ek Sitaara Hai

Yahi Toh Adaa Hai Jisne Hamein Maara Hai

Vo Kya Tha Kya Hai Kya Hoga Kya Khabar

Yahi Pata Hai Vo Jaisa Bhi Hai Bas Hamara Hai

Tum Apne Khayaalon Ko Mujhe Sonp Ke Dekho

Har Shakhs Amaanat Mein Khayaant Nahin Karta

Hai Kaun Jo Chaahega Tumhe Meri Tarah Se

Har Koi toh Mujh Jaisi Mohabbat Nahin Karta

Yun meri Aankhon mein Saawan ki Jharri rehti hai

Jaise Kashti koi Dariya mein Khari rehti hai

Haal yeh hai ke Teri Yaad mein aisa gum ho

Sab ko meri aur mujhe Teri padi rehti hai

Mana k Tum ho Mashriq aur Mein Hu Maghrib..

Mana k Bahut dur hai tumhare ghar ka kinara..

Is liye hawa ke har jhonke se poochtey hain hum

bata kya haal hai tumhara...

aansu tumhari aankho se le jayenge hum

sapne sunhare tumhe de jayenge hum

jarurat ho hamari to aawaz na dena

bas mud ke dekhna saaye me nazar aayenge hum

Tuesday, June 23, 2009


badh gai kuch aur uljhan rabta karne ke baad

khud se shikwa raha usse gila karne ke baad

is se badhkar hum pe aur kya sitam hoga

mashwara manga hai usne faisla karne ke baad

dard hi dard chubhta hai aankho me

aansuo me bhi jalan si mahesus hoti hai

zindagi khatam huye ek arsa ho chala

bas dard hi hai jo dhadkano me baheta hai

Thursday, April 2, 2009


tere rehmo karam se zinda hun mai,

tujhe bahon mai bharne ko taras raha hun mai,

aa jao mujhse milne bus ek baar tum ki tera saath

chhutne ke sath hi ye duniya chod raha hun mai...

Dard e dil ki wajah ban gaya koi,

Purane zakhmo ko aur gahara kar gaya koi,

Jee raha tha chain se kabar me meri,

Chhuke use firse bechaien kar gaya koi.....

tere dil ne chupke se mere dil ko chura liya,

teri isi ada ne mujhe tera deewana bana diya,

socha ki bana lenge tumhe humsafar ek din,

par usse pehle hi khuda ne mujhe apna bana liya...

who kehte hai majboor hun mai,

na chahate hue bhi tumse dur hun mai,

churali unhone meri dhadkane meri neende,

phir bhi who kehte hai ki majbur huun mai....

Dard hai ke Mohabbat ka pata nahi hai

Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai

Didaar e- mohabat ko hum tadapte rahe

Khuda bhi uska didaar karata nahi hai

Duwa yeh aati hai honton pe bar bar

Maut aane se pahle bas ek bar

Meri jaan ka didar ho jaye

Dil hai ke koi aur sapna sajata nahi hai

Woh aayegi zaroor dil yeh kahta hai

Usi ki yaad mein khoyaa yeh rahta hai

Ab ruk ne ko hai yeh saanse meri

Aur yeh waqt hai ke ruk jata nahi hai

payar se pyar karne mai bhi ek nasha hai,

dil leke dil dene mai bhi ek nasha hai,

dil mai dard to bahut hota hai magar

us dard ke saath muskrane mai bhi ek nasha hai....

sitaron ke aage jahan aur bhi hai,

ishq ke imtehan abhi aur bhi hai,

kuch der aur bachaye rakh in aasuon ko,

ki dard bhari dastan abhi aur bhi hai.....

tanhai se nahi mehfil se darta huun,

kisi aur se nahi apne aap se darta huun,

waaise to bahut kuch khoya hai zindagi mai,

par na jaane kyun use khonese darta huun...

chand ko guroor hai ki useke pas noor hai,

chand ko guroor hai ki useke pas noor hai,

par mai kis par guroor karu,

ki mera chand to mujhse bahut door hai...

kuch patthar mai phul khil jaate hai,

kuch ajnabi apne se ban jaate hai,

es duniya mai kai ko to kafaan bhi naseeb nahi hote,

aur kuch nahi par tajmahal to ban jaate hai...

kuch log dil mai es kadar bus jaate hai,

ki unki yaad har pal satati hai,

aur jab bhi unki yaad aati hai,

to aankhe apne aap num si ho jaati hai....

Saturday, March 28, 2009


Woh aye the hamari zindagi me jane ke liye

Pooja tha hamane unhe, na sirf chahne ke liye

Ab kaise kehde thukra diya unhone humme zamane ke liye

Jab Kabil hi na samja unhone humme tukhrane ke liye

zindagi kya koi nisaar kare

kisse duniya me koi pyaar kare

apna saaya bhi apna dushman hai

kaun ab kiska aitbaar kare

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain

Sitam jaane kya kya humne uthaye hain

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Andhere hi andhere hain roshni nahi hai

Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Sabke sangi saathi hain

sab khushi se ji rahein hain

Zehar ye judaai wala

bas hum hi pi rahein hain

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Har koi has raha

meri aankhoon mein hi paani hai

Meri barbaadiyoon kiye

jaise koi nishani hai

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se


Tu kar de ek ishara mera pata bata de

kahne ko to jindgi hume bhi mili hai

par tu jine ki ek wajah bata de

tere dil me ab bhi mera aashiyana basta hai

labjo se n sahi aankhon se hi jata de

Tu kar de ek ishara mera pata bata de

Yaad toh har koi karega jaane ke baad

sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad

kaun kitni mohabbat karta hai

nazar aa jayega mar jaane ke baad

Thursday, March 26, 2009


Khushk aankhon sey bhi ashkon ki mehek aati hai

Main tere ghm ko zmaany se chupaaoon kaise..

Phool hota to tere dr pe sjaa bhi rehta

Zkhm ly kr teri dehleez pe aaoon kaise..!!

Teri har baat se mohabbat ki hai

Tere ehsaas se mohabbat ki hai

Teri yaad se mohabbat ki hai

Jabbhi usne mujhe yaad kiya hoga

Maine un lamhe se mohabbat ki hai

Jinme ho sirf teri or meri baatein

Maine un baato se mohabbat ki hai

Maine teri har ada se mohabbat ki hai

Magroor Hi Sahi Mujhe Achcha Bahut Laga,

Ajnabi To Tha Magar Apna Bahut Laga,

Sehra Mein Jo Jee Raha Tha Darya Dili Ke Saath,

Dekha Jo Gor Se To Woh Pyasa Bahut Laga,

Wo JisKe Daam kadam Se Thi Basti Ki Ronnakein,

Basti Ujad Gayi To Akela Bahut Laga,

Lipta Hua Khaher Mein Khizan Ka Chand,

Maile Libas Mein Bhi Woh Pyara bahut Laga,

aaj ki raat to jee bhar ke mujhe rone de

na jane kyu hame aansu bahana nahi aata

na jane kyu haal-e-dil batana nahi aata

kyu saathi bichhad jate hai hamesha

shayad hame hi saath nibhana nahi aata


dard kitna hai bata nahi sakta

zakhma kitne hai dikha nahi sakta

aankho se samaj sako to samaj lo

aansu gire hai kitne gina nahi sakta

jispe apna sar rakhti hogi

woh diwar rat bhar mahkti hogi

mere pyar ka wad aata hoga

jab daal mai namak chakhti hogi

jaha jaha chua kalayee ko maine

kanch ki chudiyon se dhakti hogi

meri mulakato ke vade gin ke

kapde teh kar kar ke rakhti hogi

jisme chupayee hai tesbeer meri

ab kitab bas bahi padhti hogi

jab jhankta hoga khidki se chand

unse kah dungi ye kahti hogi

koe shikva na hoga use mujshe

woh meri mazburiyan samjhti hogi

hum bhagwan ki hi sunte they janumanu

suna hai ab teri bhi "aarti" hogi...

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.

Pyar ka har farz ada kiya humne.

Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;

Aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne...

Tanhai bhari zindagi ka safar mila;

Na saathi, na humsafar mila.

Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;

Jab vapis lote to jalta hua ghar mila...


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,

Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,

Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,

Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,

Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,

Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,

Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,

Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,

Kabhi to use bhi neend na aati hogi,

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,

Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,

Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!

Is Pathar Ki Duniya Me Aksar

Dil Toot Jaya Karte Hai Aankhein Bhi

Sambhal Kar Bandh Karna Meri Jaan...

Palko Ke Bich Bhi Sapne Toot Jaya Karte Hai..


Bahut se khawab dekhe hain kabhi shairoon main dhalenge

Koi sahera tarashenge,koi soorat nikalenge

Abhi to paoon k neechay zameen mehsoos hoti hai

Jahan ye khatam ho gee waheen hum ghar bana lenge

Yahi hai na tumhe hum se bichar janay ki jaldi hai

Kabhi milna tumhare masle ka haal nikalenge...!!

takdir k khel se kabhi mayus nahi hote ,

zindagi me aise kabhi udas nahi hote,

haato ki lakiro par vishwas mat karna,

takdir to unki bhe hote hai jinke haath nahi hote...

pyar ke rishte ka koi naam nahi hota.

mana ki iska koi anjaam nahi hota,

nibhane ki chahat ho agar dono taraf,

to umar bhar yah rishta naakam nahi hota...

Wednesday, March 11, 2009


kitna pyaar hai humko aapse

kitni jarurat hai hame aapki

batayenge aapko karenge hum baya

agar hui phir kabhi mulaqat aapse