Saturday, January 10, 2009


Mujh Se Mat Pooch Ke Kyun Ankh Jhuka Li Maine

Teri Tasveer Thi Jo Tuj Se Chupa Li Maine

Jis Pe Likha Tha Ke Tu Mere Muqaddar Mein Nahi

Apni Maathi Ki Wo Tehreer Mita Li Maine

Her Janam Sab Ko Yahan Sacha Pyar Kahan Milta Hai

Teri Chahat Mein To Umar Bita Li Maine

Mujh Ko Jane Kahan Ehsas Mere Le Jayen

Waqt Ke Hathon Se Ek Nayam Utha Li Maine

Ghere Rehti Hai Mujhe Ek Anokhi Khushbu

Teri Yaadon Per Her Ek Saans Saja Li Maine

Wo Jo Ghazal Sun Ke Bohut Roi Thi

Wohi Bus Ik Ghazal Sabse Chupa Li Maine...

Ek arse k baad koi mila hai sabse juda

dilwala,jiski har ek ada hai sabse juda,

dost keh to diya hai us ne aaj humko dekhenge

kaha tak nibayega dosti jiski har ek ada hai sabse juda!!

"Yaaro Main Sabke dil me sadaa rehtaa hu

Sabki baat suntaa hu, aur apani kehtaa hu

Sabko khushee detaa hu, mere ghum sehtaa hu

Aur firr bhi sab kehte hai ke "Chintu" tanhaa rehtaa hai?"

Monday, January 5, 2009


Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamana Tha

Dekhti Aag Thi Tanhayi Thi Fasana Tha

Gamon Ne Baant Liya Mujhe Yun Aapas Me

Ke Jaise Main Koi Loota Hua Khazaana Tha

Taptey sehraa main karaktey dhoop me

Main nikal padaa tujhey dhondhney ko

Per merey hath kya ayaa

Sadion ke tanhaye aur ek thaka hua ansoo

Kaun ayega mere dar par tere jane ke bad

Kya rah jayega meri Zindgi main tujhe khone ke bad

Dil tere intezaar mai tarpayega hamen

Tera chahera bar-bar yaad aayega hamen

Is duniya mein sab kuchh bikta hai

phir judai hi rishwat kyun nahi leti

Marta nahi hai koi kisi se juda hokar

Bus yaadein hi hai jo jeene nahi deti

Lehrome Dubte Rahe Dariya Nahi Mila

Usse Bichhadke Phir Koi Waisa Nahi Mila

Kuch Log Thodi Der To Ache Lage Magar

Hum Jiske Ho Sake Koi Waisa Nahi Mila

Hamare liye apke dil me koi chahat na thi

kisi khusi me koi dawat na thi

hamne dil apke kadmo me rakh diya

per zami per dekhne ki apki adat na thi

Meri Zindagi Kay Raaz Main Aik Raaz Tum Bhi Ho

Meri Bandagi Ki Pyas Main Aik Pyas Tum Bhi Ho

Tum Kia Ho Kuch To Ho Yaa Kuch Nahi Magar

Meri Zindagi Ki Kash Main Aik Kash Tum Bhi Ho

Hum Ne To Raaz-E-Ulfat Bhi Chupa Kar Dekh Lia

Khud Ko Tum Se Juda Kar Ke Bhi Dekh Lia

Tum To Mere Ho Kar Bhi Mere Na Ho SakeTum Ko Kya,

Zindagi Ko Bhi Aazma Kar Dekh Lia

hum Se Kia Pochte Ho Hijr Mein Kia Kerte Hein

Tere Laut Aane Ki Din Raat Dua Kerte Hein

Ab Koi Hont Nahi In Ko Churane Ate

Meri Ankhon Mein Agar Ashk Hua Kerte HeinTeri Tu Jane,

Per Ai Jan-E-Tamna Ham To

Saans Ke Sath Tujhe Yad Kerte Hein

Tu Hi Pehloo Mein Nahi Warna December Mein Wahin

Dhoop Mein Beth Ke Akhbar Parha Kerte Hein

Teri Tasveer Laga Lete Hein Ham Seene Se

Phir Tere Khat Se Teri Baat Kerte Hein

Gar Tujhe Chorne Ki Soch Bhi Aye Dil Mein

Ham To Khud Ko Bhi Wahin Chor Diya Kerte Hein

Pyar ke mayne hamse kya puchte ho

Hum abhi in baton se anjaan hain

Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame

Kyonki aapka Pyar hi hamari jaan hai