Saturday, March 28, 2009


Woh aye the hamari zindagi me jane ke liye

Pooja tha hamane unhe, na sirf chahne ke liye

Ab kaise kehde thukra diya unhone humme zamane ke liye

Jab Kabil hi na samja unhone humme tukhrane ke liye

zindagi kya koi nisaar kare

kisse duniya me koi pyaar kare

apna saaya bhi apna dushman hai

kaun ab kiska aitbaar kare

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain

Sitam jaane kya kya humne uthaye hain

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Andhere hi andhere hain roshni nahi hai

Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Sabke sangi saathi hain

sab khushi se ji rahein hain

Zehar ye judaai wala

bas hum hi pi rahein hain

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se

Har koi has raha

meri aankhoon mein hi paani hai

Meri barbaadiyoon kiye

jaise koi nishani hai

Bas ye hi gila hai zindagi se

Humein kya mila hai zindagi se


Tu kar de ek ishara mera pata bata de

kahne ko to jindgi hume bhi mili hai

par tu jine ki ek wajah bata de

tere dil me ab bhi mera aashiyana basta hai

labjo se n sahi aankhon se hi jata de

Tu kar de ek ishara mera pata bata de

Yaad toh har koi karega jaane ke baad

sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad

kaun kitni mohabbat karta hai

nazar aa jayega mar jaane ke baad

Thursday, March 26, 2009


Khushk aankhon sey bhi ashkon ki mehek aati hai

Main tere ghm ko zmaany se chupaaoon kaise..

Phool hota to tere dr pe sjaa bhi rehta

Zkhm ly kr teri dehleez pe aaoon kaise..!!

Teri har baat se mohabbat ki hai

Tere ehsaas se mohabbat ki hai

Teri yaad se mohabbat ki hai

Jabbhi usne mujhe yaad kiya hoga

Maine un lamhe se mohabbat ki hai

Jinme ho sirf teri or meri baatein

Maine un baato se mohabbat ki hai

Maine teri har ada se mohabbat ki hai

Magroor Hi Sahi Mujhe Achcha Bahut Laga,

Ajnabi To Tha Magar Apna Bahut Laga,

Sehra Mein Jo Jee Raha Tha Darya Dili Ke Saath,

Dekha Jo Gor Se To Woh Pyasa Bahut Laga,

Wo JisKe Daam kadam Se Thi Basti Ki Ronnakein,

Basti Ujad Gayi To Akela Bahut Laga,

Lipta Hua Khaher Mein Khizan Ka Chand,

Maile Libas Mein Bhi Woh Pyara bahut Laga,

aaj ki raat to jee bhar ke mujhe rone de

na jane kyu hame aansu bahana nahi aata

na jane kyu haal-e-dil batana nahi aata

kyu saathi bichhad jate hai hamesha

shayad hame hi saath nibhana nahi aata


dard kitna hai bata nahi sakta

zakhma kitne hai dikha nahi sakta

aankho se samaj sako to samaj lo

aansu gire hai kitne gina nahi sakta

jispe apna sar rakhti hogi

woh diwar rat bhar mahkti hogi

mere pyar ka wad aata hoga

jab daal mai namak chakhti hogi

jaha jaha chua kalayee ko maine

kanch ki chudiyon se dhakti hogi

meri mulakato ke vade gin ke

kapde teh kar kar ke rakhti hogi

jisme chupayee hai tesbeer meri

ab kitab bas bahi padhti hogi

jab jhankta hoga khidki se chand

unse kah dungi ye kahti hogi

koe shikva na hoga use mujshe

woh meri mazburiyan samjhti hogi

hum bhagwan ki hi sunte they janumanu

suna hai ab teri bhi "aarti" hogi...

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.

Pyar ka har farz ada kiya humne.

Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;

Aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne...

Tanhai bhari zindagi ka safar mila;

Na saathi, na humsafar mila.

Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;

Jab vapis lote to jalta hua ghar mila...


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,

Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,

Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,

Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,

Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,

Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,

Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,

Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,

Kabhi to use bhi neend na aati hogi,

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,

Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,

Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!

Is Pathar Ki Duniya Me Aksar

Dil Toot Jaya Karte Hai Aankhein Bhi

Sambhal Kar Bandh Karna Meri Jaan...

Palko Ke Bich Bhi Sapne Toot Jaya Karte Hai..


Bahut se khawab dekhe hain kabhi shairoon main dhalenge

Koi sahera tarashenge,koi soorat nikalenge

Abhi to paoon k neechay zameen mehsoos hoti hai

Jahan ye khatam ho gee waheen hum ghar bana lenge

Yahi hai na tumhe hum se bichar janay ki jaldi hai

Kabhi milna tumhare masle ka haal nikalenge...!!

takdir k khel se kabhi mayus nahi hote ,

zindagi me aise kabhi udas nahi hote,

haato ki lakiro par vishwas mat karna,

takdir to unki bhe hote hai jinke haath nahi hote...

pyar ke rishte ka koi naam nahi hota.

mana ki iska koi anjaam nahi hota,

nibhane ki chahat ho agar dono taraf,

to umar bhar yah rishta naakam nahi hota...

Wednesday, March 11, 2009


kitna pyaar hai humko aapse

kitni jarurat hai hame aapki

batayenge aapko karenge hum baya

agar hui phir kabhi mulaqat aapse

meri rooh meri zindagi tere naam

meri har ek saans tere naam

gar tu nahi to kuch nahi

mere din meri shaam tere naam

ek diya hai jala tere naam ka

chahe to aa kar isko roshni de

chahe to isko buja de

is diye ki zindagi hai tere naam

agar wo puchhe to unse kahena

uska aashiq basta tha yaha

dikhana unko wo samundar ka kinara aur

kahena gane wo tanhai me gungunata tha yaha

le jana unko darwaje pe aur

kahena intezaar wo kiya karta tha yaha

phir rakhna ungli dil pe aur

kahena shiqayat karta tha dard hota hai yaha

Thursday, March 5, 2009


are re re meri jaan hai radha

tere pe kurbaan main radha

rahe na sakunga tumse door main

jab bhi bane tu radha shyaam banunga

jab bhi bane tu sita raam banunga

tere bina aadha subah shaam kahunga

aasman se radha radha naam japunga