Thursday, July 30, 2009


Manzil-e-ishq nazar na aaye to kya kare.....

Teri yaad dil ko sataye to kya kare.......

Yakeen hai hume,hota hai duao me asar......

Par jaye na khuda tak duayein to kya kare......

Kaunsa zakham tha jo tarr-o-taaza na tha

Zindagi mein itne gham thei ke andaaza na tha

Unki jheel si aankhon ka iss mein kya kasoor

Dhoobne vaalo ko gehraayi ka andaaza na tha

Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Puraani

Har Ek Se Larna Uski Aadat Thi Puraani

Hum Uske Saath Chal Diye Yeh Jaante Hue Bhi

Raste Mein chhor Dena Uski Aadat Thi Puraani

Vo raat ki khaamoshi mein karta hai mulaaqaat

Uss ko meri tanhaayi ka ehsaas bohat hai

Kuch iss liye bhi uss ne mujhe zakham diye hai

Vo jaanta hai ke dard hamein raas bohat hai

Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera,

Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera,

Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap,

Ek roz bazi yun saje sheesha tera pathar mera.

Wafa Ke Naam Se Vo Anjaan Thei

Kisi Ki Bewafaayi Se Shaayad Pareshaan Thei

Humne Wafa Deni Chaahi Toh Pata Chala

Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam Thei


Itna haq un par jataya kyun tha.....

Roothe the wo to fir manaya kyun tha....

Aaj toota hai dil to ehsaas hua.....

Unhi se is dil ko lagaya kyun tha.....

Bhar Kar Tasveer-E-Yaar Aankhon Mein

Hum Ne Intezaar Mein Aankhein Band Karli

Zara Der Se Jo Aayi Unke Badan Ki Khushbu

Toh Humne Khud Se Saanse Juda Karli

Phir Se Rog Lagaao Tum

Mujhse Rabt Barhaao Tum

Kaise Sab Kuch Bhoole Ho

Mujhko Bhi Samjhaao Tum

Jaise Baarish Saawan Ki

Ek Din Aise Aao Tum

Mein Ne Jee Bhar Rona Hai

Mujhko Khawaab Dikhaao Tum

Bohat Kuch Ho Chukka Ye Sab

AB Mere Ho Bhi Jaao Tum

Monday, July 6, 2009




andhere me meri raakh ka ujala wahi tha

meri kashti ko paar lagane wala khevaiya wahi tha

milke jiske saath banaye the mahobat ke aashiyane

chupke se nazre churane wala bhi wahi tha

tum bin zindagi aisi hai jaise

lahero ko samandar se

dhadkan ko dil se

aansuo ko aankho se

sitaro ko aasman se

hansi ko labo se juda kar diya ho

Thursday, July 2, 2009


Vo Ek Shakhs Jo Hamein Zindagi Se Pyaara Hai

Bagair Uss Ke Veeraan Yeh Jahan Saara Hai

Vo Nahin Jaanta Ke Uski Zaat Kya Hai

Vohi Toh Hai Jo Mohabbat Ka Ek Sitaara Hai

Yahi Toh Adaa Hai Jisne Hamein Maara Hai

Vo Kya Tha Kya Hai Kya Hoga Kya Khabar

Yahi Pata Hai Vo Jaisa Bhi Hai Bas Hamara Hai

Tum Apne Khayaalon Ko Mujhe Sonp Ke Dekho

Har Shakhs Amaanat Mein Khayaant Nahin Karta

Hai Kaun Jo Chaahega Tumhe Meri Tarah Se

Har Koi toh Mujh Jaisi Mohabbat Nahin Karta

Yun meri Aankhon mein Saawan ki Jharri rehti hai

Jaise Kashti koi Dariya mein Khari rehti hai

Haal yeh hai ke Teri Yaad mein aisa gum ho

Sab ko meri aur mujhe Teri padi rehti hai

Mana k Tum ho Mashriq aur Mein Hu Maghrib..

Mana k Bahut dur hai tumhare ghar ka kinara..

Is liye hawa ke har jhonke se poochtey hain hum

bata kya haal hai tumhara...

aansu tumhari aankho se le jayenge hum

sapne sunhare tumhe de jayenge hum

jarurat ho hamari to aawaz na dena

bas mud ke dekhna saaye me nazar aayenge hum