Sunday, October 26, 2008


na vaada hai koi tum se koi rishta nibhane ka

na koi aur hi dil mai tahayya ya iraada hai

kaii din se magar dil mai ajab uljhan si rehti hai

ni tum is daastan k sarsari kirdaar ho koi

na kissa itna saada haitaaluk jo mai samjha tha

kaheen us se ziyada hai

dil ko us raah pe chalna hi nahi

jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thee lekin ab to

tere kehne mai raha karti hai

dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milnaa

vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milnaa

vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat

us se kyaa kahiye jo har roz kahe,,, kal milnaa

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,

kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,

lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,

gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,

kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamne

ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa

chaaNdanii chhup ga_ii chaaNd sharmaa gayaa

aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

dil kii dharkan merii tez hone lagii raat

aaNkhon mein kaaNTen chubhone lagii vasl kii raat

mein baat hii baat mein yuuN teraa ruuTh jaanaa Gazab ho

gayaa jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab u

Thii raat apanii to karavaT badlate kaTii

kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n

kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa

apanii rusvaaii,,,, tere naam ka charchaa dekhuuN

ek zaraa sher kahuuN aur main kyaa kyaa dekhuuN

niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN

aaNkh khul jaaye to tanhaaii kaa sehra dekhuuN

shaam bhii ho gaii dhundhlaa gaii aaNkhen bhii merii

bhoolne vaale main kab tak teraa rastaa dekhuuN

sab ziden us kii main puurii karuuN har baat sunuuN

ek bachche kii tarah se use haNstaa dekhuuN

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii

tarah ang ang apnaa usii rut mein mehektaa dekhuuN

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib jii men

aataa hai koii aur bhii tujh saa dekhuuN

main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas

ek baar Khvaab ban kar terii aaNkhon mein utartaa dekhuuN

tuu meraa kuchh nahiin lagtaa hai magar

jaan-e-hayaat jaane kyon tere liye dil ko dharaktaa dekhuuN

Lafz ki shakl mein ehsas likha jata hai

Ya'ni seerabi ko bhi piyaas likha jata hai

merey jazbaat sey waqif hai qalam bhi mera

mein wafa likhhoon to TERA NAAM likha jata hai