Saturday, October 25, 2008


LARKI KA JAWAB




tum jab bhi ghar par aatay ho

aur sab say batain kartay ho

main aut say parday ki

janan bus tum ko dekhti rehti hoon

ik tum ko dekhnay ki khatir main

kitni pagal hoti hoon

main aisi mohabat karti hoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

jab darwazay par dastak ho

ya ghanti phone ki bajti ho

main chor k sab kuch bhagti hoon

aur tum ko jo na paoon to

ji bhar k ronay lagti hoon

main aisi mohabbat karti hoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

mehfil main kaheen bhi jana ho

kapron ka selection karna ho

rang bohat say samnay bikhray hoon

us rang pe dil aa jata hai

jo rang k tum ko bhata hai

main aisi mohabbat karti hoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

rozana apnay college main

kisi aur ka lecture suntay hoay

ya break k khali ghantay main

sakhyoon say batain kartay hoay

meray dhiyan main tum aa jatay ho mein,

main nahin rehti phir janan

main tum main gum ho jati hoon

bus khuwabon main kho jati hoon

un aankhon main kho jati hoon

main aisi mohabbat karti hoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

jis chehray par bhi nigha paray

her chehra tum sa lagta hai

wo sham ho ya ke dhop samay

sab kitna bhala sa lagta hai

janay ye kaisa nasha hai garmi ka

tapta mosam bhi jaray ka maheena lagta hai

main aisi mohabbat karti hoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

tum jab bhi samnay aatay ho

main tum say sunn na chahti hoon

kash kabhi tum ye keh do tum

mujh say mohabbat kartay ho tum

mujh ko bohat hi chahtay ho

lekin janay tum kyun chup ho

yeh soch k dil ghabrata hai

aisa to nahin hai na jana

sirf meri nazar ka dhoka ho

tum nay mujh ko chaha hi na ho

koi aur hi dil main rehta ho

main tum say poochna chahti hoon

main tum say kehna chahti hoon

lekin kuch pooch nahin sakti

mana ke mohabbat hai

phir bhi lab apnay khol nahin sakti

main larki hoon kaisay keh doon

main kaisi mohabat karti hoon

main tum say ye kaisay pochoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

chup chap see main...

ho jati hoon phir dil main

apnay kehti hoon

main aisi mohabbat karti hoon

tum kaisi mohabbat kartay ho

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan peh bayth k jati ho

main waheen pe betha rehta hoon

us cheez ko choota rehta hoon

main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho

main us ko dost banata hoon

tum jis rustay par chalti ho

main us say aata jata hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho

wo khuwab....sarhanay rakhta hoon

tum say milnay julnay k

kitnay hi bahanay rakhta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho

jis cheez ko hath lagati ho

main waheen peh baytha rehta hoon

us jaga ko choota rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main

palkon say moti chunta hoon

koi lums agar choo jaa a to

main pehroon us ko sochta hoon

main...aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti hotum

jin say batain karti hotum j

in say huns k milti ho

jo tum ko achay lagtay hoon

wohi mujh ko achy lagtay hain

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho

jis sabzay par tum chalti ho

jo shakh tumhain choo jati hay

jo khushboo...tum ko bhati hay

wo os tumharay chehray par

jo qatra qatra girti hai

wo titli chor k phoolon ko

jo tum say milnay aati hai

jo tum ko choonay aati hay

un sab k nazuk jazbon main

meray dil ki dharkan basti hai

miri rooh bhi shamil rehti ha

itum paas raho ya door raho

nazron main samai rehti ho

main tum ko takta rehta hoon

main tum ko sochta rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

jis college main tum parhti ho

jis class main bhi tum jati ho

jis kursi peh tum baythti ho

jab class wo khali hoti hai

main ja k us main baythta hoo

nus kursi ko main choota hoon

gadla sa ik tissue paper

jo tum nay class main chhora tha

main pyar say us ko choota hoon

main us ko...purse main rakhta hoon

wo copy jis main lecture k

tumpoints likhti rehti ho

her moqay par her manzar main

main sath tumharay rehta hoon

main chashm-e-tasavvur main

aksarbus tum ko dekhta rehta hoon

bus tum ko sochta rehta hoon

main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho

Ik Chand Tanha Khara Raha

Magar Mere Aasman Se Zara Door

Mere Saath Saath Safar Main Tha

Magar Meri Manzilon Se Zara Door

Teri Justujoo Ke Hisaar Se Tere Khawab

Tere Khayaal Se Main Wo Shakhs Tha Jo Khara Raha

Magar Teri Chahaton Se Zara Door

Kabhi Dil Ki Baat Kahi Na Thi Jo Kahi

To Wo Bhi Dabi Dabi Mere Lafz Poore

To Thay Magar Teri Saanson Se Zara Door

Tu Chali Gayi Meri Hum Safar Zara Mur Ke

To Dekh Ik Nazar Meri Kashtiyaan Hain

Jali Huyi Magar Tere Saahilon Se Zara Door

Usney kaha mujh se !

Main tum bin ji na paoungi

Main sach much toot jaoungi

Zamana chor doungi !

Khud se main CHINTU rooth jaoungi

Main ne kaha us sey !

Agar main mil gaya tumko

To is se farq kiya hoga ?

Mohobat main hamesha jo mila hai

Wo juda hoga !Usney kaha mujh se!

Agar tum mil gaey mujhko

Main yeh duniya bhula doungi

Tumhare naam pe apna main ye jiwan bita doungi

Tumhari zindagi ka main her ek lamha saja doungi

Tumhara marte dum tuk sath doungi jan luta doungi

Maine kaha us seMeri jan sach kahon tumseYeh wade,

sapne, jhoote hainHamain tanha hi rehna hai

Saharey apne jhootay hain

Ager main mil gaya tumkoMujhe tum chor jao gi

Mera dil keh raha hai tum !

Mera dil tor jao giUsney kaha mujh se !

Ager tum mil na paye toMain aisa kar bhi sakti hon

Tumhare bin adhuri hon

Main CHINTU mar bhi sakti hon

Main ne kaha us se !

Yeh kaam to sub hi karte hain

Safar main sub bicharte hain

Bichar kar log martey hain

Mujhe tum ji k dikhlao !!!!

Suna Hai Log Use Aankh Bher Ke Dekhte Hain

To Us Ke Shehr Main Kuch Din Theher Ke Dekhtey Hain

Suna He Rabt He Us Ko Kharab Halon Se

So Apne Aap Ko Barbad Ker Key Dekhtey Hain

Suna Hey Dard Ki Ghahk Hey Chasham Naz Us Ki

So Hum Bhi Us Ki Gali Sey Guzer Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Ko Bhi Hey Shair-O-Shairi Sey Shughaf To

Hum Bhi Mojzey Apney Huner Key Dekhtey Hain

Suna Hey Boley To Baton Sey Phool Jhertey Hain

Yeh Baat Hey To Chalo Baat Ker Key Dekhtey Hain

Suna Hey Raat Usey Chand Takta Rehta Hey

Sitarey Bam-Falak Sey Uter Key Dekhtey Hain

Suna Hey Din Ko Usey Titliyan Satati Hain

Suna Hey Raat Ko Jugnoo Theher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Chasher Hain Us Ki Ghazal Si Aankhain

Suna Hey Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Raat Sey Berh Ker Hain Kaklain Us Ki

Suna Hey Shaam Ko Sye Guzer Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Ki Syah Chashmagi Qyamat Hey

So Us Ko Surma Farosh Aah Bher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Key Labon Sey Gulaab Jaltey Hain

So Hum Bahar Peh Alzaam Dher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Aaina Tamsal Hey Jabeen Us Ki

Jo Sada Dil Hain Usey Ban Sanwar Key Dekhtey Hain

Bas Ik Nigah Sey Lutta Hey Qafla Dil Ka

So Rah Rawan-E-Taman Bhi Dar Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Key Shabistan Sey Mutsil Hey

Behshat Maseeh Udher Key Bhi Jalwey Idher Key Dekhtey Hain

Rukey To Gardishain Us Ka Tawaf Kerti Hain

Chaley To Us Ko Zamaney Theher Key Dekhtey Hain

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbey Hi Sahi

Agar Who Khawab Hey To Tabeer Ker Key Dekhtey Hain

Ab Us Key Sheher Main Thehrey Keh

Kooch Ker Jyen Fir aaj Aao Sitarey Safar Key Dekhtey Hain

Ik tere naam se kitnee yadain beykal ho jatee hain

Main rona nahi chahta laiken ankhain jalthal ho jatee hain

Kahan se aayi janey mugh main itnee chahat

itnee shiddat Judai k naam pey meeri

apni sansain qatal ho jatee hain

Jo jo sun ker sehtey they aab sab samjh main aata hai

Bicher ker kissi se kaisey bhala....... umaiden pagal ho jatee hain

Sab darwaze band hue tu dar khula duaoon ka

Uss k karam se dekha aksar rahain manzil ho jati hain.

main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankhoun main

phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun

main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun

phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam

main apnay payar ka anjam teray naam kar doun

mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai

hazaron payar kay paygham teray naam kar doun

hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai

eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun