Thursday, July 30, 2009


Manzil-e-ishq nazar na aaye to kya kare.....

Teri yaad dil ko sataye to kya kare.......

Yakeen hai hume,hota hai duao me asar......

Par jaye na khuda tak duayein to kya kare......

Kaunsa zakham tha jo tarr-o-taaza na tha

Zindagi mein itne gham thei ke andaaza na tha

Unki jheel si aankhon ka iss mein kya kasoor

Dhoobne vaalo ko gehraayi ka andaaza na tha

Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Puraani

Har Ek Se Larna Uski Aadat Thi Puraani

Hum Uske Saath Chal Diye Yeh Jaante Hue Bhi

Raste Mein chhor Dena Uski Aadat Thi Puraani

Vo raat ki khaamoshi mein karta hai mulaaqaat

Uss ko meri tanhaayi ka ehsaas bohat hai

Kuch iss liye bhi uss ne mujhe zakham diye hai

Vo jaanta hai ke dard hamein raas bohat hai

Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera,

Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera,

Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap,

Ek roz bazi yun saje sheesha tera pathar mera.

Wafa Ke Naam Se Vo Anjaan Thei

Kisi Ki Bewafaayi Se Shaayad Pareshaan Thei

Humne Wafa Deni Chaahi Toh Pata Chala

Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam Thei


Itna haq un par jataya kyun tha.....

Roothe the wo to fir manaya kyun tha....

Aaj toota hai dil to ehsaas hua.....

Unhi se is dil ko lagaya kyun tha.....