Tuesday, October 28, 2008


Kabhi khud bhi mere qareeb aa.

Meri baat sun mera sath day..

Jo khalish hay dil say nikal kar..

Mujhy uljhanoo say nijaat day..

Tujhy soochna mera mashghala tujhy dekhna meri aarzoo..

Mujhy din day apny khayal ka mujhy apny qurab ki raat day..

Mein akeela bethoon kahan kahan ye safar buhat taweel hay..

Meri zindagi mere sath chal mere hathoon mien apna tu hath day.....

Hoti nahi wafa to jafa hee diya karo.

Tum bhi to koi rasm-e-muhabbat ada karo.

hum tum pay mar mitty to ye kis ka qasoor hay.

Aaina lay k hath mien khud faisla karo.

Ab un pay kisi baat ka hota nahi asar..

Minat karo sawal karo iltija karo..

Sharminda hoon k moot bhi aati nahi mujhy..

Tum mere liye ab to koi bad-duwa karo..

Betho na mehfiloon mien zamana kharab hay..

Dekho hamari baat kabhi sun liya karo..

TUJH MAIN NA KAMI NA TO AEIB DAAR HAI,

TU IS SIR ZAMEEN PER IK HASEEN SHAHKAAR HAI,

CHOO K TUJH KO PHOOL BHI MEHKAAN PAA GAYE HAI,

UNHAIN BHI TUJHAY CHOONAY PER AAJ TAK NAAZ HAI……..

App Kabhi Na Hamari Azmaish Ker Sakonge

Jan Se Bhi Zyada Kia Farmaish Ker Sakonge

Pyaar Karte Hain Tujhe Itna Jitna Samander Mein Hai Pani

Kya Samander Ke Pani Ki Paymaish Ker Sakonge ?…!!

na zindagi mili na wafa mili

na jane kyoun har khushi hum se khafa mili

jhooti muskan liey apne gham chhupate rehey

sachi mohabbat karne ki bhi kya khoob saza mili

Diwangi bhi kum na thi kuchh apni justaju

Hum be-wafa jahan me wafa dhoondte rehey

Mehroomion ke dor mein kin hasraton ke saath

Hum pathron ke dil me Khuda dhoonte rehey

Unhe to fursat hi nahi hum se milne ki

hamara waqt guzarta hai un ko yaad kar ke

agar aeyn wo meri mout pe to keh dene

abhi soya hai aap ko yaad kar ke.

Tum se door janey ke irada na tha

Sada saath rehne ka wada bhi na tha

Tum yaad aao gey ye jante the hum

par itne yaad aao gey is ka andaaza na tha

roeyn gi ankhen muskurane ke bad

aye gi raat din dhal jane ke bad

meri zindagi se jao to zara murr kar dekh lena

shayed zinda hi na rehein tere jaane ke bad

Muhabbat ke safar me koi rasta nahi deta

Zameen wakif nahi banti falak saya nahi deta

Gham aur dukh sub ke apne hote hain

koi kisi ko apne hisay ka Lamha nahi deta

Udaasi jis ke dil me ho usi ki neend urti hai

Koi kisi ko apni ankhon ka sapna nahi deta

Uthana khud hi parta hai tanhai aur gham ka badan apna

K jab tak saans chalti hai koi kandha nahi deta

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange

Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee

Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

AJNABI LOG BHI DENE LAGE ILZAAM MUGHE...,,

NA JANE KAHAN LE JAEY GARDISH-E-AYAM MUGHE..,,,,

BHULNA BHI CHAHON TO BHOOLAOUN KESE....

LOG LE KE BULATE HAIN TERA NAAM MUGHE..!

phir chand khila phir raat thami

phir dil ne kaha hai teri kami

phir yaad k jhonkay mehak gaye

phir pagal arman behak gaye

phir jannat si lagti hai zameen

phir dil ne kaha hai teri kami

phir guzre lamho ki batain

phir jagi jagi si hai ratain

phir thehar geyi palkon pe nami

phir dil ne kaha hai teri kami

zindagi main tum se ik lambi mulakat ho

mil kar bethe hum aur lambi baat ho

baat karne ko sirf teri meri zaat ho

ruk jaye waqt phir din ho na raat ho

raat ko raat ka tohafa nahi dete

dil ko jazbaat ka tohafa nahi dete

dene ko to hum aap ko chand bhi de dain

magar chand ko chand ka tohafa nahi dete

humse koi gila ho jaye to maaf karna,

yaad na kar paaye to maaf karna,

dil se to hum aapko kabhi bhulte ni,

par ye dil hi ruk jaaye to maaf KARNA


Ab to pal pal usi ke yaad main jina hai

uske har baat ko yaad karke rona hai

Bichadna tha to fir mila hi kyun

Yeh sawal bhi aaj usse karna hai ...?

Karte hai mohabbat aur jatana bhool jate hai...

Pehle rulate hai fir manana bhool jate hai.....

Bhoolna to aadat si hai zamane ki....

Lagakar aag mohabbat ki bujhana bhool jate hai.....

Sunday, October 26, 2008


Zindagi se jude hote hai anubhav,

anubhavo se judi hoti hai yaadein aur yaadon se jude hote hai ehsaas.

Har lamhe ke saath badalte hai humare ehsaas.

Har ehsaas ke saath badalti hai humari zindagi.

Kabhi dard ka ehsaas, Kabhi khushi ka ehsaas,

Kabhi zindagi khone ka ehsaas, Kabhi kuch paane ka ehsaas.

Zindagi ka har pal jeete hue guzarte hai hum bhaavnao ke sailaab se jise kehte hai Ehsaas. Lamha lamha apni guzarti zindagi ke pal mere aansuo aur muskurahaton se bhar kar dekhe.

Saanson ka zindagi se, chand ka chandani se, lehro ka sagar se, aisa hi rishta hai anubhavo ka ehsaas se.

Jise hum har pal mehsus karte hai kisi ke saath hone ka ehsaas humein khushi se bhar deta hai to uski judaai ka ehsaas humein dukh se tod deta hai.

Zindagi hai naam iska jiske har pal ko ehsaas kehte hai.

Meri zindagi ke har lamhe mein shamil ho kar dekhiye.................

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufak Tak Chhaye The,

Hum Jab Uske Shaher Se Nikle Sab Raaste Sath Laye The,

Jane Wo Kya Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat,

Pyar Ki Baatein Karte Karte Uske Nain Bhar Aaye The,

Kaise Jaati Mere Badan Se Beete Lamhon Ki Khushbu,

Khwabon Ki Us Basti Mein Kuch Phool Mere Humsaye The,

Kaisa Pyara Manzar Tha Jab Dekhke Apne Sathi Ko,

Pair Pe Baithi Ek Chidiya Ne Apne Par Phailaye The,

Rukhsat Ke Din Bhigi Aankhon Uska Kehna Haaye,

Tumko Laut Hi Jana Tha To Is Nagri Kyon Aaye The...

woh phool si muskurahat merey liye hoti

woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata

woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan

woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main

aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta

jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi

mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti

Kuchh is tarah se usey pyaar kerna padta hai

Key apney pyar sey inkaar kernaa padtaa hai

Kabhee kabhee to wo itna qareeb hotaa hai

Key apne aap ko dewaar kernaa padtaa hai

Khuda ne usko ataa kee hai wo maseehaai

Key khud ko jan ke beemar kerna padta hai

Wafa ki raah mai dushwariyan to aati hain

Wafa ki raah ko hamwaar kerna padta hai

Wo hath rakh ke mere dil pe jab bhi puuchhta hai

krenil ko us waqt dard se inkaar kernaa padtaa hai

Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Sahra Say Nikal Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Saiban Day Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apnay Wajood Main Chup Saktay Ho

Tum Chao To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar

Tum Chao To Ik Diya Roshni Ka Jala Sakltay Ho

Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai

Tum Chao To Isay Hans Kar Guzar Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho

Tum Chao To Kia Nahi Kar SaktayT

um Chao To Sub Kuch Kar Saktay Ho

BusSSsSssSSsSssSSSsBaat Tumhary Chahany Ki Hai

ye zabtt chhoot geya to tumhari yaad aayi

main thuck k toot geya to tumhari yaad aayi

tumhare bad na tha mera koi dil k siva

ye dil bhi rooth geya to tumhari yaad aayi

dedicate to:Mom,Dinu,Both Gudiya,Chhotu,And Off Course My Dreamgirl




YuuN to har ik nigaah aati hai,

Mujh ko sun_ne ki chaah aati hai,

Mera har sher hai qurbaaN tuj par,

Jo tere lab se "waah" aati hai.

na vaada hai koi tum se koi rishta nibhane ka

na koi aur hi dil mai tahayya ya iraada hai

kaii din se magar dil mai ajab uljhan si rehti hai

ni tum is daastan k sarsari kirdaar ho koi

na kissa itna saada haitaaluk jo mai samjha tha

kaheen us se ziyada hai

dil ko us raah pe chalna hi nahi

jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thee lekin ab to

tere kehne mai raha karti hai

dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milnaa

vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milnaa

vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat

us se kyaa kahiye jo har roz kahe,,, kal milnaa

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,

kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,

lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,

gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,

kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamne

ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa

chaaNdanii chhup ga_ii chaaNd sharmaa gayaa

aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

dil kii dharkan merii tez hone lagii raat

aaNkhon mein kaaNTen chubhone lagii vasl kii raat

mein baat hii baat mein yuuN teraa ruuTh jaanaa Gazab ho

gayaa jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab u

Thii raat apanii to karavaT badlate kaTii

kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n

kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa

apanii rusvaaii,,,, tere naam ka charchaa dekhuuN

ek zaraa sher kahuuN aur main kyaa kyaa dekhuuN

niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN

aaNkh khul jaaye to tanhaaii kaa sehra dekhuuN

shaam bhii ho gaii dhundhlaa gaii aaNkhen bhii merii

bhoolne vaale main kab tak teraa rastaa dekhuuN

sab ziden us kii main puurii karuuN har baat sunuuN

ek bachche kii tarah se use haNstaa dekhuuN

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii

tarah ang ang apnaa usii rut mein mehektaa dekhuuN

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib jii men

aataa hai koii aur bhii tujh saa dekhuuN

main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas

ek baar Khvaab ban kar terii aaNkhon mein utartaa dekhuuN

tuu meraa kuchh nahiin lagtaa hai magar

jaan-e-hayaat jaane kyon tere liye dil ko dharaktaa dekhuuN

Lafz ki shakl mein ehsas likha jata hai

Ya'ni seerabi ko bhi piyaas likha jata hai

merey jazbaat sey waqif hai qalam bhi mera

mein wafa likhhoon to TERA NAAM likha jata hai

kaise bhul sakte hai aapko

jabbhulana hi bhul jate hai

kis juba se kahe hum ki

kitna pyaar karte haiaapko

ab ek chhote si shayri me kaise kahe

ki kitna pyaar karte hai hum aapko

tum hasti ho mujhe hasane ke liye

tum roti ho mujhe rulana ke liye

ek baar ruth kar to dekho mujse

mar jaunga tumhe manane ke liye

Saturday, October 25, 2008


khuda ne jab ishq banaya hogato

khud bhi jarur aajmaya hoga

hum hai kaun aur tum ho kya

is ishq ne to khuda ko bhi rulaya hoga

jab yaad aati hai tumhari muskaan

kuch palo ke liye har gam bhula dete hai

kaise bheeg sakti hai aapki pal ke

aapke hisse ke aansu to hum baha lete hai

shaam udas hai ,raat udaas hogi,

subah kafan me lipti meri laash hogi,

ae muje dafan karnewale,jake unse keh dena,

kabra me bhi unki tasvir mere saath hogi.......

sadiyo bad us ajnabi se mulaqat hui

aankho hi aankho me chahat ki har baat hui

jate huye usne dekha mujhe chahat bhari nigaho se

meri bhi aankho se aansuo ki barsaat hui

kyu us ki khamoshi mujhe khamosh kar jati hai

kyu us ki udasi mujhe udas kar jati hai

kya rishta hua uska aur mera

jo mujhe uski yaad har pal aa jati hai















Pass rehta hai door rehta hai





Koi dil me zaroor rehta hai





jab se dekha hai unki aankho ko





halka halka saroor rehta hai





Aise rehte hai woh mere dil mein





jaise zulmat mein noor rehta hai

AGAR HUM EK PHOOL HOTE TO TERI RAAHO ME BICHH JATE

AGAR HUM EK GUM HOTE TO TUJHE ZINDAGI BHAR NA SATATE

YE AUR BAAT HAI KI TUMHARE DOST HAI HUM

AGAR DOST NA HOTE TO BHI TUJPE JAAN LUTATE

SHARM , DEHSHAT , JHIJHAK , PARYSHAANI

TUM NAAZ SAY KAAM KION NAHI LETIEN

JEE , WO , AAP . SUNIYEY , YE SAB KIYA HAI ?

TUM MERA NAAM KION NAHI LETAIN ?

Wo aate to hain magar tan se nahi,

wo bhethte to hain magar man se nahi,

kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte,

karte to hain magar humse nahi.....

Mohabat ke bina zindagi fizool hai

Par mahobat ke bhi aapne ussul hai

Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfate

Par aap ho mehboob toh sab kubul hai

Ae zindgi mujh se yeh daga na kar

Mar jaon us k bina yeh dua na kar…

Koi dekhe bhi usey to hoti ha jalan

Ae hawa ab tuu bhi usey chhuwa na kar

us ne kaha..tum main pehli si baat nahi

main ne kaha..zindagi main tera saath nahi

us ne kaha..ab bi kisi ankh main doob jate ho

main ne kaha ab kisi ankh main wo gehrai nahi

us ne kaha..ab bi phool kharidte ho

main ne kaha tere baad un main khushboo hi nahi

us ne kaha..nila asman dekh kar kuch yaad aaya

main ne kaha teri baton k siwa kuch yaad nahi

us ne kaha..ye udasi kiun hai

main ne kaha tere gham k siwa kuch bi nahi

us ne kaha..mere baad kisi se muhabat ki

main ne kaha tere baad ye lafz meri zindgi main shamil hi nahi

us ne kaha..zindagi kya ha main ne kaha..

tere siwa kuch bhi nahi us ne kaha neend tumhain aajati hai

main ne kaha teri bahon ka sahara nahi

us ne kaha kiun toot kar chaha muje

main ne kaha main insaan hoon pathar tu nahi

us ne kaha..tumhara ishq tu sehra tha

main ne kaha mujhe ab piyas hi nahi

us ne kaha..kya main bewafa hoon

main ne kaha muje ab wafa ki talash hi nahi

us ne kaha..bhool jao mujh ko

main ne kaha tum hakikat ho khuaab tu nahi....