Sunday, October 26, 2008


apanii rusvaaii,,,, tere naam ka charchaa dekhuuN

ek zaraa sher kahuuN aur main kyaa kyaa dekhuuN

niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN

aaNkh khul jaaye to tanhaaii kaa sehra dekhuuN

shaam bhii ho gaii dhundhlaa gaii aaNkhen bhii merii

bhoolne vaale main kab tak teraa rastaa dekhuuN

sab ziden us kii main puurii karuuN har baat sunuuN

ek bachche kii tarah se use haNstaa dekhuuN

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii

tarah ang ang apnaa usii rut mein mehektaa dekhuuN

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib jii men

aataa hai koii aur bhii tujh saa dekhuuN

main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas

ek baar Khvaab ban kar terii aaNkhon mein utartaa dekhuuN

tuu meraa kuchh nahiin lagtaa hai magar

jaan-e-hayaat jaane kyon tere liye dil ko dharaktaa dekhuuN

No comments: