woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti
main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti
raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti
woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni merey liye hoti
merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti
rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti
No comments:
Post a Comment