Friday, October 24, 2008

Judaai

Na hai koi armaan na hai koi sapna ab,
Duri ek pal bhi bardaasht hoti nahi hai,
Na hai is duniya mein koi apna ab,
Rakh lo chhupa kar mujhe dil mein tanhai kehti hai,
Zindagi ki khushiyan kho gai hai kahin,
Dubi rahu teri aankhon mein khele tu zulfon se meri,
Na hai mujhe jeene ki khawahish ab.
Rahu har pal teri aaghosh mein dhadkane mujhse kehti hai.


Dur jo gai tu mujhse e sanam,
Sagar se gehri aankhen uski dekhu un mein to dub jau,
Kasam teri tere bina mar hi jayenge hum,
Woh hai itni dur humse dil ki bekaabu hoti dhadkane unhe kaise sunau.
Na hai gavara humein jeena tere bin,

Ki tu hai to zindagi hai varna nahi hai hum.
Bin tere jiyu kaise ki maut bhi ati nahi,

Rota hai har pal dil mera kambakht teri yaad bhi jati nahi.
Ata hai tera naam har pal honto pe har dhadkan har saans ke saath,

Aankhon mein ate hai aansu teri har yaad ke saath.
Karte hai yaad un dino ko jab khushiyan ati thi baharon ke saath,
Khoya rehta hun tere hi khayalo mein tere hi khawab dekhta hun,
ab to gum mein hi dube rehte hai har pal itne zaalim hai haalat.
Mat jaya kar tu dur mujhse sanam bahut pyar main tujhse karta hun.

Tujhe bahon mein lene ko tere honto ko mehsus karne ke liye tadapta hun,
yaad ati hai tumhari har pal,
Kyu jati hai tu dur mujhe tanha chod ke yehi baat baar baar sochta hun.
jiya nahi jata hai tumhare bin ik pal,
Mat jaya kar dur mujhse tere bina main ji pata nahi,
tere pyar mein kho gaya hun itna,
Tere pyaar tere saath ke bina mujhe chain milta nahi.
nazaron ke saamne rehti hai tu har pal.
Chahta hun bepanaah tujhe tu meri mohabbat meri deewangi hai,

Tujhse hi hai har khawahish meri tu meri jaan meri zindagi hai.
ati hai yaad har pal tumhari,

jaan jati hai har pal humari,
dil mein basi hai teri tasveer,
teri yaadein basi hai mann mein humare,
sunai deti hai har waqt tumhari awaaz,
tere bin bematlab hai zindagi humari.
jab bhi dekhta hun tumhe jaaneman,

baj uthta hai mere dil ka saaz.
Bhuk nahi lagti pyaas nahi lagti teri judaai mein o sanam,

chahta hun mein sirf tera hi humsafar banana har dil har saal har janam.
sunsaan sadak par chale ja rahe hai,

tanhai mein jalte huye ja rahe hai,

kyu nahi mila humein koi humsafar,

yeh shikva kiye ja rahe hai.



najaane kya ho gaya hai aajkal mujhe,

kuch bhi samajh ata nahi,
aye yaad teri teri yaad aye mujhe,
teri judaai ka asar hai yeh,
har pal khoya rahu khayalon mein tere,
ki mujhe kuch bhi khabar nahi.
dur jo gai tu mujhse o jana,

na chain na karaar aye dil ko mere.
dil mein hai ek hulchul khalbali hai saanson mein,

aankhon mein bhi hai nami itna dard hai teri yaadon mein.
teri muskurahat ne mujhe deewana banaya,

tere jism ki khushbu mujhe behkaati hai,
paas aa kar yun na dur jaya karo,
itna pagal na bana mujhe apne pyar mein,
hasa ke yun na mujhe rulaya karo,
ki teri judaai mujhe bahut rulati hai.
pyar karo mujhe bepanaah zindagi bhar,

sapne dikha de yun na sapne toda karo.
juda hokar bhi tujhse tujhe mein bhula paya nahi,

ati hai teri yaad meri aankhon mein ashk banke,
tanha tanha humein chhoda karo ki tanhai bardaasht hoti nahi,
dhadkan mein saanson mein hai tu nas nas mein basa tera naam,
gavara nahi jeena humein tere bin jo tu nahi to hum bhi nahi.
khayalon khawabon mein ati hai tu meri zindagi ban ke.


rota hai dil karke yaad unko,

leta hai naam unka karte hai hum pyar jinko,

kaise samjhaye pyar karte hai unse kitna,
Please give us your valuable comment.
kaise bataye apna haal-e-dil unko.
We will be grateful to you.

No comments: