Saturday, October 25, 2008


Suna Hai Log Use Aankh Bher Ke Dekhte Hain

To Us Ke Shehr Main Kuch Din Theher Ke Dekhtey Hain

Suna He Rabt He Us Ko Kharab Halon Se

So Apne Aap Ko Barbad Ker Key Dekhtey Hain

Suna Hey Dard Ki Ghahk Hey Chasham Naz Us Ki

So Hum Bhi Us Ki Gali Sey Guzer Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Ko Bhi Hey Shair-O-Shairi Sey Shughaf To

Hum Bhi Mojzey Apney Huner Key Dekhtey Hain

Suna Hey Boley To Baton Sey Phool Jhertey Hain

Yeh Baat Hey To Chalo Baat Ker Key Dekhtey Hain

Suna Hey Raat Usey Chand Takta Rehta Hey

Sitarey Bam-Falak Sey Uter Key Dekhtey Hain

Suna Hey Din Ko Usey Titliyan Satati Hain

Suna Hey Raat Ko Jugnoo Theher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Chasher Hain Us Ki Ghazal Si Aankhain

Suna Hey Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Raat Sey Berh Ker Hain Kaklain Us Ki

Suna Hey Shaam Ko Sye Guzer Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Ki Syah Chashmagi Qyamat Hey

So Us Ko Surma Farosh Aah Bher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Key Labon Sey Gulaab Jaltey Hain

So Hum Bahar Peh Alzaam Dher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Aaina Tamsal Hey Jabeen Us Ki

Jo Sada Dil Hain Usey Ban Sanwar Key Dekhtey Hain

Bas Ik Nigah Sey Lutta Hey Qafla Dil Ka

So Rah Rawan-E-Taman Bhi Dar Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Key Shabistan Sey Mutsil Hey

Behshat Maseeh Udher Key Bhi Jalwey Idher Key Dekhtey Hain

Rukey To Gardishain Us Ka Tawaf Kerti Hain

Chaley To Us Ko Zamaney Theher Key Dekhtey Hain

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbey Hi Sahi

Agar Who Khawab Hey To Tabeer Ker Key Dekhtey Hain

Ab Us Key Sheher Main Thehrey Keh

Kooch Ker Jyen Fir aaj Aao Sitarey Safar Key Dekhtey Hain

No comments: