Zindagi se jude hote hai anubhav,
anubhavo se judi hoti hai yaadein aur yaadon se jude hote hai ehsaas.
Har lamhe ke saath badalte hai humare ehsaas.
Har ehsaas ke saath badalti hai humari zindagi.
Kabhi dard ka ehsaas, Kabhi khushi ka ehsaas,
Kabhi zindagi khone ka ehsaas, Kabhi kuch paane ka ehsaas.
Zindagi ka har pal jeete hue guzarte hai hum bhaavnao ke sailaab se jise kehte hai Ehsaas. Lamha lamha apni guzarti zindagi ke pal mere aansuo aur muskurahaton se bhar kar dekhe.
Saanson ka zindagi se, chand ka chandani se, lehro ka sagar se, aisa hi rishta hai anubhavo ka ehsaas se.
Jise hum har pal mehsus karte hai kisi ke saath hone ka ehsaas humein khushi se bhar deta hai to uski judaai ka ehsaas humein dukh se tod deta hai.
Zindagi hai naam iska jiske har pal ko ehsaas kehte hai.
Meri zindagi ke har lamhe mein shamil ho kar dekhiye.................
No comments:
Post a Comment